Idli, Dosain Kaa Nashta
Local Train ka safar
2 mahine pehle, hum bhi hue --"Amnchi Mumbai Local"
Us din utre to the bhaut saare ek saath
par sahi maayne main bache sirf paanch
is saath main bhi koi Logic nahi hai,
Agar kuch hai to sirf itna,
ki 10,000 ki salary main akele rehna possible nahi hai.
chahe pehle din se hi yeh saath, ek majboori tha
par in paancho ung-liyo (fingers) ka haath ek hi tha
In paancho ki individual kahani main to mujhe koi interest nahi hai
par is muthi ki kahani pehle din se hi mast rahi hai...
Naukri ka pehla din, mere pass bhaut time tha
Phir main risk kyo leta??
par saamne wale track par aati LT (local Train) dekh
josh-2 main platform se kooda GOGU neta....
Bas phir kya tha, sab pe chada surur
piche-2 kood liye JYOTIR, BHUSHAN aur KAPOOR.
Pondi Marta kya naa karta
reh jaaunga main akela
is chotti si baat se darta
gaya track pe kood...
Uska kya maaloom tha ki,haath thamne khade hue the
Civil main maame mardoot!!! (maame u know polish waale)
Kapoor ki kismat thi, woh to gaya nikal
mujhko line main laga ke mama bola chal...
Chota kamra, goop andhera
kaise nikle, chinta ne ghera!
JYOTIR, KASHYAP chup-chaap khade
Galti par pach-taye PONDI...
Haalat paancho ki thi thandi
Pehle din he jail ke darshan
GOGU thulle ko pata raha
neend ki jhapki maare BHUSHAN.
Do ghante ki watt lagi, kuch paise dekar chutt gaye
raat ke khane tak hanse aur subah tak bhool gaye...
baatoin -2 main isi tarah, poora ek hafta nikla
gali -2 main ghoom liye, par Dadar main ghar naa mila...
Dadar naa sahi, 2 BHK naa sahi, Ek thikaana to mila
Chahe kuch bhi kaho yaaro---- Us 1 BHK ke Hall main
hamaara poora mahina nikla...
Khair ab din badal gaye hai
GOGU ki neta-giri main,
Jeene ke andaaz sudhar gaye hai...
Wo alag baat hai..
ki aadato main koi fark nahi aaya...
KASHYAP aaj bhi chotti -2 baatoin pe senti ho jaata hai...
JYOTIR office ki baat ho yaa gal-friend ka chakkar
Har baat bina expression ke hi keh jaata hai...
BHUSHAN aaj bhi ghar gushte hi
gaano ki style main rota hai...
PONDI ab bhi nancy colony waale ghar ki tarah
jameen par hi sota hai...
Har Ek ki aadtein alag
jindagi jeene kaa matlab alag....
jaha KASHYAP ki soch un-predictable hai
wahi JYOTIR ki life bilkul neutral hai
BHUSHAN apne-aap main mast hai
to GOGU ko style main rehna pasand hai...
PONDI to coding ke alaawa kuch soch nahi paat hai...
BHUSHAN, GOGU ke anzaaz main
"Bhai Mummy kiya karti thi, bibi aa-ke karegi..."
yahi keh ke apna peecha chudaata hai.!
Lekin ab dheerain -2 life settle hone lagi hai...
Kaam aur jeene ke andaaz aaj bhi wahi hai
sirf fark itna aaya hai...
ki waqt ke saath yeh Muthi ab
Majboot hone lagi hai.....
Bye ---Vik S Kumar
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
MAst hai bahi mast hai..... absolutely great..... mere ko yaad hai gogu telling us he was in jail...
ReplyDeleteGr8 Dude !! Awesome ...Mujhe yaad hai.. we were waiting in Banyan Park for you Guys at 9 am but you all reached around 11 am....
ReplyDeleteNice memories !! :)
ReplyDelete