Monday, April 10, 2006

Insaan Or Kutte

Har Waqt Auto Ka Shor,
Raat Ka 1 Baja ho Yaa Subah 5 Baje ki Bhor (Bhor --- early morning)
Neeche Behti Nalla type Nadi (Nalla -- natural drain)
Rehti Hai jaha Har Waqt Marathi Public Khadi

Woh National Park Ke Saath-2 Bani
Chotti Se Par Quite Busy Foothpath
Jaha Insaan Or Kutte Tehalte Hai Saath Saath ...

Kuch Tag Wale Kuch Bina Tag Wale
Sabhi Jaldi Main,
Groups Main Bhonkte,
Saath-2 Hanste,
Bas Yuhi He Foothpath Ke aas-pass
Apna Apna Time Pass Karte...

Din Main Kutte Ho Ya Aadmi Sabhi Neend Main Hote hai
Par Raat ko To Bhaiya Sabhi Kaam Pe Hote hai
Kuch Office Main, Kuch Shantivan Wale Chowk Pe

Fark Nahi Lagta Mujhe kuch Khass
Dono He Nasalo Ki Ek Jaisi Definition (Nasal -- species)
Bas, Ek Ke Liye Term Wafadaar
Or Doosre Ke Liye Term Professional

Ek Jaisi Jindagi, Ek Jaisa Culture
Office Wale Apne PL Pe Bhonke Hai
Kutto Ka Target Nahi Pata
Par Har Waqt Insaan Ki Tarah Woh Bhi Yahi Karte Hai

Chahe Salary Se Khaye Yaa Kisi Ka Fenka Hua (Fenka --thrown)
Ek Canteen Main Doosra Direct Outlet Pe Khada ( where it is sold on road side shops)
Serve Hone Ka Tarika Chahe Jo Bhi Pao
Pet Bharne Ka Main Source Ek He Hai,I mean Vada-Paw (Pet --stomach)

Maine Bhaut Koshish Ki
Par Koi Anter Samajh Nahi Paya
Jab God Ne Insaan Or Kutte Dikhne Main Alag Banaye Hai
To Jaroor Kahi Na Kahi Kuch Difference Bhi Chipaye hai

Anyways, Chahe Naa Mile Insaan or Kutto Ke Beech Koi Doori
Par I know Kutto Ki Ek Bahut Badi Majboori
Kutte Bechaare Jaha Paida Hue Usi Haal Main Jeete Hai (Paida --born)
Insaan Thode Se Kamine, Jaise He Mauka Mila
Kam Se Kam Apna Tag To Badal Lete Hai....

By: Vik S Kumar

2 comments: